Monday 12 October 2015

Dharti ki bas yahi Pukaar...

Dharti keh rahi baar-baar,
Sun lo manav meri pukar.
Bade-Bade Mahlon ko bana ke,
mat daalo mujh par Bhaar.
Ped-Paudhon ko Nashta karke,
mat Ujaado mera Sansaar,
Dharti ki bas yahi pukaar..

Mai Avichal hun, Avinashi hun,
Ght-Ght ki mai Vaasi hun.
Mai karti sabka kalyan,
Tum bhi jara do mujh par dhyan.
Sun lo manav meri pukaar,
Mat Ujaado mera Sansaar..

Mai hun sabki jeevan data,
Mai hu sabki Bhagya Vidhata.
Karne do mujhe sab jeevon par Upkaar,
Mat karo mera pahadon par, visfotak vaar,
Mat Ujaado mera Sansaar,
Dharti ki bas yahi Pukaar..

Sundar-Sundar Baag aur Vah hain mera,
Hey manav ! Ye sab kaam Aayenge tere.
Meri Mitti mein pala-Badha hai,
Tune yahin Apna Sansaar Gadha hai.
Phir se tu karle vichar,
Mat ujaado mera Sansaar..

Mai Ruthi to jag Rutha,
Mera Sabra ka Baandh Gar Toota.
Nahi Bachega kisi ka Ghar,
Mera saath Agar Anyaay Karoge.
To Nyaay kahan se paoge,
Kabhi Baadh , kabhi Sookha aur,
Bhukamp jaisi Aapda sehta jaoge.
Dharti ki bas yahi pukaar
Mat ujaado mera Sansaar..




No comments:

Post a Comment